Rishiraj Kahne Lage, Soon Rajan Man Laye
Durga Path Ka Kehta Hoon, Panchwa Main Adhayaya
Ek Samay Shumbh Nishumbh Do, Huwe Daitya Balwaan
Jinke Bhay Se Kanpta, Tha Yeh Sara Jahaan
Indra Di Ko Jeet Kar, Liya Singhasan Chhin
Khokar Taj Aur Takht Ko, Huwe Devta Din
Dev Lok Ko Chhodkar, Bhage Jaan Bachaye
Jungle Jungle Phir Rahe, Sankat Se Ghabraye
Tabhi Yaad Aaya Unhe, Devi Ka Vardaan
Yaad Karoge Jab Mujhe, Karoongi Main Kalyaan
Tabhi Devtaon Ne Stuti Kari
Khade Ho Gaye Hath Jode Sabhi
Lage Kahne Ae Maiya Upkar Kar
Tu Aa Jaldi Daityon Ka Sanghar Kar
Prakriti Maha Devi Bhadra Hai Tu
Tuhi Gauri Dhatri Ve Rudra Hai Tu
Tu Hai Chandra Roopa Tu Sukhdayani
Tu Lakshmi Sidhi Hai Sinhvahini
Hai Beant Roop Aur Kai Naam Hai
Tera Naam Japte Subha Sham Hai
Tu Bhakton Ki Kirti Satkar Hai
Tu Vishnu Ki Maya Tu Sansar Hai
Tuhi Apne Dason Ki Rakhwar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tu Har Prani Mein Chetan Aadhar Hai
Tuhi Budhi Man Tu Hi Ahankar Hai
Tuhi Nidra Ban Deti Didar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tuhi Chhaya Banke Hai Chhai Hui
Shudha Roop Sab Mein Samayi Hui
Teri Shakti Ka Sab Mein Vistaar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Hai Trishna Tuhi Kshama Roop Hai
Yeh Jyoti Tumhara Hi Swaroop Hai
Teri Lajja Se Jag Sharamsar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tuhi Shanti Banke Dhiraj Dheraveh
Tuhi Shradha Banke Yeh Bhakti Badhaweh
Tuhi Kranti Tuhi Chamatkar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tuhi Lakshmi Banke Yeh Bhandar Bharti
Tuhi Vruti Banke Yeh Kalyaan Karti
Tera Smruti Roop Yeh Avtaar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tuhi Tushti Bani Tan Mein Vikhyaat Hai
Tu Har Prani Ki Taat Aur Maat Hai
Daya Ban Samayi Tu Datar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tuhi Bhranti Aur Brahm Ko Upja Rahi
Adhishtadhatri Tuhi Kehla Rahi
Tu Chetan Nirakar Sakar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Tuhi Shakti Hai Jwala Prachund Hai
Tujhe Pujta Sara Brahmaand Hai
Tuhi Ridhi Sidhi Ka Bhandar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Mujhe Aisa Bhakti Ka Vardaan Do
Chaman Ka Bhi Udhar Kalyaan Ho
Tu Dukhiyah Anaathon Ki Gamkhar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Namaskar Strotra Ko Jo Bhi Padhe
Bhawani Sabhi Kasht Ushke Hare
Chaman Har Jagah Vo Maddadgar Hai
Tujhe Maa Karodon Namaskar Hai
Namaskar Hai Maa Namaskar Hai, Namaskar Hai Maa Namaskar Hai
Raja Se Bole Rishi, Soon Devan Ki Pukar
Jagdambe Aayi Wahan, Roop Parvati Dhar
Ganga-Jal Mein Jab Kiya, Bhagwati Ne Ashnan
Devon Se Kahne Lagi, Kiska Karte Ho Dhyan
Itna Kahte Hi Shiva, Hui Pragat Tatkal
Parvati Ke Ansh Se, Dhaara Roop Vishal
Shiva Ne Kaha Mujhko Hai Dhiya Rahe
Yeh Sab Stuti Meri Hi Gaa Rahe
Hai Shumbh Nishumbh Ke Daraye Huwe
Sharan Mein Hamari Hai Aaye Huwe
Shiva Aansh Se Bangai Ambika
Jo Baki Rahi Woh Bani Kalika
Dhare Shailputri Ne Yeh Dono Roop
Bani Ek Sundar Bani Ek Kuroop
Mahakali Jag Mein Vicharne Lagi
Aur Ambe Himalaya Pe Rahne Lagi
Tabhi Chund Aur Mund Aaye Wahan
Vicharti Pahadon Mein Ambe Jahan
Ati Roop Sunder Na Dekha Gaya
Nirakh Roop Moh Dil Mein Paida Huwa
Kaha Jake Phir Shumbh Maharajji
Ki Dekhi Hai Ek Sundari Aaj Hi
Chadhi Sinh Par Sair Karti Hui
Woh Har Man Mein Mamta Ko Bharti Hui
Chalo Aankho Se Dekh Lo Bhal Lo
Ratan Hai Trailoki Ka Sambhal Lo
Sabhi Sukh Chahe Ghar Mein Maujud Hai
Magar Sundari Bin Woh Besud Hai
Woh Balwan Raja Hai Kis Kaam Ka
Na Paya Woh Saathi Yeh Aaram Ka
Karo Usse Shadi To Jaanenge Hum
Mehalon Mein Lao To Maanenge Hum
Yeh Sun Kar Vachaan Shumbh Ka Dil Badha
Maha Asur Sugriv Se Yun Kahan
Jao Devi Se Jaake Jaldi Kaho
Ki Patni Bano Mehalon Mein Aa Raho
Tabhi Dut Pranaam Karke Chala
Himalaya Pe Ja Bhagwati Se Kaha
Mujhe Bheja Hai Asur Maharaj Ne
Ati Yodha Duniya Ke Sartaj Ne
Woh Kehta Hai Duniya Ka Malik Hoon Main
Ish Trailoki Ka Pratipalak Hoon Main
Ratan Hai Sabhi Mere Adhikar Main
Main Hi Shaktishali Hoon Sansar Mein
Sabhi Devta Sar Jhukaye Mujhe
Sabhi Vipt Apni Sunaye Mujhe
Ati Sundar Tum Stri Ratnn Ho
Kyon Nasht Karti Ho Sundartai Ko
Bano Meri Rani To Sukh Paoogi
Na Bhatkogi Ban Mein Na Dukh Paoogi
Jawani Mein Jinna Woh Kis Kaam Ka
Mila Na Vishay Sukh Jo Aaram Ka
Jo Patni Banogi Toh Apnaoonga
Main Jaan Apni Kurban Kar Jaoonga
Dut Ki Batton Par, Diya Devi Ne Na Dhyan
Kaha Daant Kar Sun Are, Murkh Khol Ke Kaan
Suna Maine Woh Daitya Balwaan Hai
Woh Duniya Mein Shehjor Dhanwaan Hai
Sabhi Devta Usse Hare Huwe
Chhupe Phirte Hai Darke Mare Huwe
Yeh Mana Ke Ratno Ka Malik Hai Woh
Suna Yeh Bhi Shrishti Ka Palak Hai Woh
Magar Maine Bhi Ek Prun Thana Hai
Tabhi Na Asur Ka Hukum Mana Hai
Jisse Jag Mein Balwaan Paoongi Main
Usse Kunth Apna Banoongi Main
Jo Hai Shumbh Takat Ke Abhimaan Mein
To Bhejo Usse Aaye Maidan Mein
Kaha Dut Ne Sundari, Na Kar Yun Abhimaan
Shumbh Nishumbh Hai Dono Hi, Yodha Ati Balwaan
Unse Ladhkar Aaj Tak, Jeet Saka Na Koye
Tu Juthe Abhimaan Mein, Kahe Jeevan Khoye
Amba Boli Dut Se, Bund Karo Updesh
Jao Shumbh Nishumbh Ko, Do Mera Sandesh
Chaman Kahe Daitya Jo, Woh Phir Kehna Aaye
Yudh Ki Pratigya Meri, Dena Sab Samjhaye
|| JAI MATA DI ||






